Friday, August 3, 2007

End of Illusion

waqt ne kaha ki waqt bahut hai kam

aaj dil ki dhadkan tez hui hai, aakhen bhi hain nam
ruand dala maine mere sapno ka ghar
chhod diya wo mitti ka mere apno ka ghar
jyaada paise ki naukri, badhta hua vyaapar
naheen chahiye ab mujhe, kyun tha fir ab tak lachaar
chaar pahiye ki gaadi, chaar kandhon ke samaan hui
zinda marne ka mazaa hai kaisa, gar ho na tera deedar
bas ab lagta hai mujhe ki yaheen sansaar jaayega tham
waqt ne kaha ki waqt bahut hai kam

kuchh der aur noch lo jaanwaron ki botiyaan
kuch raaten aur nashe mein haske yunhi lo guzaar
bimariyaan lachaariyaan bhookh aur tabahi
sab tadapte hai rehna, bas karo intezaar
kal jo mere saath tha, kal naheen wo jayega
dhoondha kiya jise baahar, kya wo mujhe apnayega
jana hai mujhe, pana hai mujhe, bhulana hai ab ye gham
waqt ne kaha ki waqt bahut hai kam

likh di hoti ye poori paati
sanjh ki bela bhi aa jati
isko naheen aur barbaad hai karna
karna hai bas ek KARAM
waqt ne kaha ki waqt bahut hai kam



My Master ,
Thanks for sharing the core wisdom !
- N

0 comments: